Baithe hain likhne kuch lavz aise,
Ye dil ko mile kahin kuch sukuun jaise.
Zehen mein kuch baat tho aaye,
Padhne wale ko maza bhi laaye.
Baat hai bas itni si hi,
Ki likhne ki koshish humne bhi ki.
Saath diya na Urdu ne na Hindi ne,
Isthemal kar liya inhe angrezi mein.
"Aage bhi tho likh", kahe kalam
"Kuch acha pyara tez aur naram,
Ki padhne wale ko samajh bhi aaye,
Aur sunne wala na hosh gavaye".
Likhun bhi tho kya ye bata,
Har koi kuch naya hain chahta.
Pedh patta badal aur neer,
Kar gaye jhoota Galib aur Kabir.
Pyaar, mohabbat ki ummeed na rakh,
Likh likh ke sab gaye hain thak.
Kismath pe na likh paya main kabhi,
Aur uparwale ne uspne tho kitabein hain chapi.
Rahi bas ek cheez jis pe main likh paaun,
Aur yun hi din raat likhta chala jaun,
Woh soch ke jo uthaya kalam abhi,
Woh baat pe jo abhi bho zehen mein hain hi nahin.
---Arpita
19th April 2009
2 comments:
Thodi si naughty, thodi si clean;
Arpita tumhari ye kaveeta, hain tum jaisi;
badi khatti, thodi namkeen;
Bus tum aise hi likhte jao aur gungunaao,
kagaz pe kalam aur keyboard pe ungliyan dodaao.
You have written it very well Appy!!!
:)
You have crafted so much and so well out of nothing..
Post a Comment